Thursday, March 29, 2007

Hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN

Hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN
maiN muntazar houN, magar teraa intezaar nahiiN

hamiiN se raNg-e-gulistaaN, hamiiN se raNg-e-bahaar
hamiiN ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar nahiiN

abhii na chheR muhabbat ke geet aie mutrib
abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN

tumhaare ahd-e-vafaa ko maiN ahd kyaa samjhouN
mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIN

na jaane kitne gile ismeiN muztarib hai nadeem
vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiiN

gurez kaa nahiiN qaa’il hayaat se, lekin
jo sach kahouN to mujhe maut naagavaar nahiiN

ye kis maqaam pe pahuNchaa diyaa zamaane ne
k ab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiiN

Glossary:

hawas-naseeb = lustful
qaraar = satisfaction
muntazir = waiting
nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!)
mutrib = singer
hayaat = life
maahaul = environment
Khushgavaar = happy
ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness
gile = complaints
muztarib = anxious
nadeem = companion
gurez = running away
qaa’il = consenting
naagavaar = unpleasant
iKhtiyaar = adopted, acquired

No comments: