Wednesday, March 28, 2007

Sah'hir Matchless Beauty!!!

Aao ki ko_ii khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n khvaab bun sake.n

[bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times]
[das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
khvaabo.n ke aasare pe katii hai tamaam umr

[tez-gaam = fleet-footed]

zulfo.n ke khvaab, ho.ntho.n ke khvaab, aur badan ke khvaab
meraaj-e-fan ke khvaab, kamaal-e-sukhan ke khvaab

[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-sukhan = perfection in poetry]

tahaziib-e-zindagii ke, farog-e-vatan ke khvaab
zindaa.n ke khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke khvaab

[tahaziib-e-zindagii = civilized life; farog-e-vatan = nation's progress/upliftment]
[zindaa.n = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]

ye khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.n hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]

aao ki ko_ii khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n khvaab bun sake.n

No comments: