Wednesday, March 28, 2007

Kabhi-Kabhi!!!

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai

ke zindagi teri zulfon ki narm chaon mein

guzarne pati to SHADAB ho bhi sakti thi

ye TIRAGI jo mere ZIST ka muqaddar hai

teri nazar ki SHUAON mein kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main BEGANA-ILM hokar

tere JAMAL ki RANAION mein kho rahta

tera GADAZ badan teri NEEM BAAZ aankhen

inheen haseen FAZAOON mein main hoh rahta

pukarteen mujhe jab TALKHIYAN zamane ki

tere labon se HALAWAT ke ghoont pe leta

HAYAT cheekhti phirti BAREHNA-SAR aur mein

GHANERI zulfon ke saaye mein chup ke jee leta

magar yeh ho na saka,

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai

ke tu nahin tera gham teri JUSTJOO bhi nahin

guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise

ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin

zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale

guzar raha hoon kuch anjani RAHGUZARON se

MUHIB SAAYE meri SIMAT bharte aate hain

HAYAT-O-MOUT ke PUR-HAUL KHAR-ZARON se

na koi JADAH na manzil na roshni ka suragh

bhatak rahi hai KHALON mein zindagi meri

inheen KHALON mein rah jaaonga kabhi kho kar

main jaanta hoon meri HUMNAFAS magar yunhi

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai

No comments: